Love Letter For Boyfriend In Urdu

Asalam u Alaikum!
Aaj mera dil chah raha hai ke mein jo alfaz likhon woh dil ki wadi se na ho balkeh woh ruh ki zameen se likhon. Mere lafzon mein woh tarap ho ke tumhari chup ke samandar mein talatam barpa kar de. Tum takhleeq e mohabbat se nikal kar talash mohabbat mein gum ho jao. Mann ki wadi mein woh gulistan saj jaye jis ki pur noor saba bad-e-naseem ban jaye. Jalwa-e-jana mein jalwa is asman aur zameen ho jaye.

Tumhain maloom hain na ke mohabbat kya hoti hai? ye takhleeq hoti hai, baqa hoti hai, yehi ibtida hoti hai aur yehi intiha bhi hai aur jub ye dil par utarti hai tou is ki khushbu gharoor aur takabar ko aik dam fana kar deti hai. Jub ye wadi dil mein dara basati hai tou apne siwa kisi aur ki amad gawara nahin karti. Jub ye meharban hoti hai tou dard bhi ghaneemat lagta hai, phir faraq faraq nahin rehta ke jalwa jana mann mein basta aur ankhon se chalakta hai. Mohabbat jismani safar se mabra, rohani safar tay karti hai aur ashkar woh raz karti hai ke jasad-e-khaki ki la zaat se nikal kar zaat mein dakhil ho jata hai, phir kya rastay aur kya manzil. Kesi pyas aur kya seraab.
Mujhe maloom hai tumhain tumhari tashreehon ki zaroorat nahin, magar mera dil chahta hai ke mein haal-e-ruh likhon. Jo mujhe mehsoos hota hai woh tumhain bataon. Mohabbat ki pakeezgi ne hawas, ana aur khud gharzi ke buton ko pash pash kar diya hai. Mohabbat ab mehdood nahin rahi, is nanhi kali ki kompalain phutnay lagi hain, taq-e-dil mein sajay is chiragh ki roshni mann aur ruh ko jagmaga rahi hai. Takht-e-dil par parri dhoop hat rahi hai, manzar waziha ho rahe hain. Jo khawab tum ne mujhe dikhaya tha woh pura hone ko hai, jis rah par mujhe chalaya tha woh bas milnay ko hai.

Bas tumhain ye kehna hai ke is kar-e-mohabbat mein mujhe hargiz gawara nahin koi larkharahat. Na ho youn ke phir jao tum apne wadon se, chhor do mujhe dasht-e-biyaban mein ke is safar mein yehi ek shart hamari hai, ye sacha sath mangti hai, khalos-e-rang mangti hai. Ye woh mitti hai jan-e-jan jo ruh se niklay hue aansoo se zarkhez hoti hai.

Mujhe bas yehi kehna tha, hal-e-ruh tumhain likhna tha, mohabbat ne jo sikhaya hai, wohi ehd mujhe dohrana tha.
Haan mujhe ko bhi mohabbat hai, yehi tumhain batana tha,
Faqat,
Muqeed-e-Mohabbat!!

7 comments:

  1. Woww great yra... superb.... magar ye batein har koi ni smjhta.... any ways.. its really nice

    ReplyDelete
  2. Uff yar samj nhi aye magar obot acha ma apni gf ko send kar deya hai or lattar urdu maleko

    ReplyDelete
  3. Itna pyar mai to apni gf ko letter likh rha tha socha kuch net se dekh kr likh du aap ka letter padhne ke bad mai soch rha hu ki hyi letter apni gf ko likh du very nice letter jitni tareef ki jaye kam h

    ReplyDelete